Part 5

Abhijeet left home in a hurry that day. Sharp at 7 am he was in the office with rest of the C.I.D team, meanwhile ACP was talking to Vaibhav and Sheetal, in his cabin.
Abhijeet stood in a corner pretending to read the case file, atleast the 5th time when Daya came to him. Daya had been Abhijeet’s best and only friend after Viren and knew Abhijeet’s feelings about Shruti.

Daya – “kya baat hai boss? Kahan khoye ho?”
Abhijeet – “nahi…kuch nahi…bas case je bare mein soch raha tha.”Daya – “case toh kabse solve kar rahe hain par aaj se pehle tumhe itna pareshan toh nahi dekha”
Abhijeet – “nahi..pareshan kahan hoon?” (tries to smile)
Daya – “Acha…chalo mere saath”
Abhijeet – “Par kahan? Nahi…ACP sir abhi aayenge to datenge”
Daya – “Chalo toh”

Daya goes to Vivek and tells something in his ears. Vivek nods and then Daya pulls Abhijeet out of the office to the canteen.

Daya and Abhijeet settle in the canteen. It isn’t open fully yet.

Daya (to waiter) : “2 coffee lana”

Then he turns to Abhijeet

Daya – “Abhijeet…ab batao kya baat hai?”

Abhijeet quite slowly and unwillingly tells Daya all about Viren and then how the Ayush of the case seemed so similar to Viren.

Abhijeet – “…aur Daya us din yaad hai…mujhe yakeen hai ki maine wahan market mein Viren ko hi dekha tha aur jis tarah who dara hua lag raha tha…Daya mujhe sab theek nahi lag raha…kuch gadbad hone wali hai.”
Daya – “samajh mein nahi aa raha kya kahun? Gadbad toh hai boss..par – “

Before Daya could complete, his phone rang. He answered it. It was Vivek, asking Daya to come back to the office with Abhijeet.
When they reached the office, everyone was standing in a line (except ACP ofcourse) and ACP was introducing Vaibhav and Sheetal to them. Daya hurriedly joined the line. ACP looked at them and said “Yeh Senior Inspector Abhijeet aur Daya.”
Vaibhav and Sheetal shook hands with them. ACP went slowly to Abhijeet and Daya and murmured – “kya hua? Koi emergency thi kya?”

Daya and Abhijeet get a little nervous and exchange looks. They said – “nahi sir. Kuch nahi.”

ACP still eyed them suspiciously and moved back facing all of them.

ACP – “sab ne case file padh lee?”
All – “yes sir”
ACP, then walks to the white soft board and draws a network (one item connected to many other and all linked to one main item)

[Something like this - http://www.osc.cz/eng/produkty/cas/cas_eng.jpg
where Primary server is the master mind, Secondary servers are the 3 people who know him and the clients are the several other people operating under according them the main boss – secondary server]

ACP – “Abhi tak hum jo jaante hain, wohh hai ki X jo ki iss sab ke peeche hai, bahut tez aur chalak hai aur saari planning khud karta hai. Rajeev ki reports ke hisab se, sirf 3 log X ki asli identity jante hain. In 3 logoin mein 1 ladki hai, 1 smuggler aur 1 cash exchanger hai.
Yeh 3 log X ke liye chor aur chote gunde dhundhte hain taki wohh unhein istemaal kar sake.
Is exhibition ke bare mein 5 saaloin se chacha tha. 5 saal X ne planning ki. Jab exhibition lagi, toh who roz waha gaya aur pata kiya ki kis time sabse kam security hoti hai. Shayad usne security officers se dosti bhi kar lee ho. Exhibition ke aakhiri din, jab kisi ne jewellery mein koi kharabi batayi toh pata chala ki sari jewellery hi nakli thi. Chor ne kab apna kaam kiya, kisi ko pata nahi chala.
Rajeev ke hisab se, X ne exhibition lagne ki 3 raat ko chori kari aur usse raat kisi sunsaan jagah par apne 3 saathiyoin ko bulaya aur unhe jewellery de dee.
Teeno saathiyoin ne subah tak jewellery desh-videsh ke market mein bechne ko de dee.
2 din ke andar saari jewellery diamonds mein convert hokar, X ke paas pahunch gayi. Tab bhi wohh roz exhibition mein jaata raha yeh dekhne ki uska plan kab tak duniya ko bewakoof bana sakta hai. (pauses)
Manna padega, dimaag toh bahut hai in X janaab ke paas. Shayad agar yeh Police mein bharti hota, toh desh ke bahut kaam aata.”

Abhijeet remembered that in his college, he and Viren used to receive the same compliment. The thought only made him shudder.
Meanwhile, ACP kept staring at the white board thinking hard.

Kaveri – “sir…”
ACP – “haan..Kaveri bolo” and turns back to face her.
Kaveri – “sir…chori karne ke baad bhi yeh X exhibition mein roz gaya, bina kisi darr ke, isse 2 cheezein pata chalti hain –
Ek toh usse apne plan par bahut bharosa tha aur doosra who saare kaam akele khud karna pasand karta hai.”
Sheetal – “yes sir. Aur yeh bhi ki jaise raatoin – raat, usne jewellery gayab kar lee, usse zaroor har security measure ki jankari hogi.”
ACP – “par yeh toh namumkin hai. Security toh khud humari CID, U.K police aur Russian Intelligence ne ki thi. Security plans toh sirf in 3 agencies ke selected officers ke paas the.”
Freddie – “sir…mujhe lagta hai…”
ACP – “haan aage bolo”
Freddie – “sir mujhe lagta hai ki X ka ek saathi in teeno organisations mein se kisi ek mein zaroor hoga.”
Vaibhav – “Ye kya mazaak hai? Itni reputed agencies mein sirf desh ke liye marne wale hote hain…desh drohi nahi.”
ACP – “nahi Vaibhav…kai baar kida apne target ko andar se hi khokla karta hai.”
Abhijeet – “sir mujhe lagta hai ki hume Pune jaana chahiye. Wahin par kuch aur pata chalega.”
Daya – “sir mujhe bhi yahi theek lagta hai. Directly to X tak pahunchna mushkil hai. Pehle uske uske saathiyoin ko pakadte hain aur unke zariye us tak pahunchte hain.”
ACP – “Haan…yeh theek lagta hai.”Sheetal – “Par sir agar sab gaye toh ho sakta hai baat spread ho jaaye…after all X ka network kafi bada hai.”
ACP – “Good point Sheetal. Main bhi yahi soch raha tha. Ek kaam karo, Abhijeet, Daya, Kaveri aur Lavanya (they step forward)…tum chaaroin Pune jaao aur Abhijeet tumhara dost..umm kya naam tha..haan Viren…jo marr gaya par tumne usse dekha hai…usske bare mein chaan-been karne ki acting karo.”Abhijeet gets disturbed hearing that ACP knows about Viren and gives Daya dangerous looks and hopes ACP knows nothing of Shruti. But he knew Daya good enough to say that Daya wouldn’t have said anything about Shruti to ACP.

ACP – “Freddie…tum aur Vivek, Mumbai mein jitne chor iss chori mein shamil the unhein pakdo. Sab informers ko bulao aur unse poocho. Koi bhi chootna nahi chahiye. Aur Vaibhav aur Sheetal Pune jaakar chooroin ko pakdenge…saath – saath Rajeev ke informers ko dhoondenge.”

Silence…no one speaks…all look at each other except ACP who is deep thinking..

ACP – “chooroin ko pakadenge to X ko lagega ki hazaroin chor pakadte pakadte hum ustak kabhi nahi pahunch paayenge…Par tab tak Rajeev ka murder case of iss robbery case, hum kafi aage badh chuke honge.
Tum sab aaj hi kaam par lag jao par haan informers ke agar tum milte ho toh iski khabar kisi ko na lage. Tum sab sirf chor pakad rahe ho.
…Aur haan…koi bhi..koi information kisi written form mein nahi rakhega. Koi baat batani ho toh forensic mein Dr. Tarika ko bata do, wohh mujhe bata degi…mujhe directly yahan par ya mobile par koi phone nahi karega ya ek doosre ko bhi.”
Freddie – “Par sir, Dr. Tarika ko kyun?”
ACP – “Freddie kyunki Forensic ke phone tape nahi ho sakte. Koi CID ke andar gaddar chupa ho toh wohh humare phone tape kar sakta hai…par forensic ke nahi…toh chalo sab kaam par lago.”

No comments:

Powered by Blogger.