Episode 2 Part 6

10:44 AM
ACP – “Daya tum bureau jao, hum aate hain…”
Shruti – “sir, Daya ke liye ek aur kaam hai…”

Everyone looks at Shruti…

ACP – “kya?”

Shruti produces a small plastic packet… in it there was a cut nail… Richa looks at her recently cut nail.

Shruti – “sir, ye Richa ka nakun hai. Ismein kisi ki skin phasi hai.”

All the heads turn to Richa…

Richa – “mujhe lagta hai, jab wohh aadmi mujhe rokne ki koshish kar raha tha, tab usse hatane mein uski khaal nakun mein atak gayi…”
ACP – “ye toh bahut achi baat hai… ab hum khooni tak pahunch sakte hain… Daya tum ye sample lekar abhi forensic lab jao.”

Just then Richa’s phone rings… it was Sahil’s number…

ACP – “kiska phone hai?”
Richa – “sir Lata ke fiancee Sahil ka.”

ACP looked suspecious…

Richa – “sir Sahil aksar phone karta hai…”

ACP nods… Richa picks up the phone

Richa – “hello… nahi main theek hoon… arre kuch nahi hua… Aunty kahan se aa gayi? Nahi aunty main theek hoon… bilkul dard nahi hai… Sab hain mere saath… haan bhai apne ghar mein hi hoon, aap itni chinta kyun kar rahe ho. Nahi, dekho main theek hoon aur main aapse bahut jaldi milne aaungi… promise. Bbye…”
ACP – “kaun tha?”
Richa – “sir wohh meri aunty Sahil ke ghar aa gayi thi… Unhone news par dekha ki Hotel mein mujhe goli lag gayi.”
ACP – “tum toh Daya ke saath –“
Daya – “sir Richa mere saath hi thi… isse Mrs. Dixit ne sponser kiya tha.”

There was an awkward silence…

ACP – “Daya tum aur Lavanya Saluke ke paas sample le jao… aur Freddie, Vivek aur Kaveri ko main zara doosri naukari dilwata hoon.”

Everyone left…
It was now only Richa, Shruti and Abhi in the room… Richa was holding her hand…

Shruti – “dard ho raha hai?”

Richa nodded…

Shruti – “tum jao, thodi der so lo. Aaram milega. Waise bhi abhi tumhe kuch karne ko nahi hai…”

Richa leaves and then its only Abhi and Shruti in the room…

Shruti – “main jaakar padosi se milkar aati hoon…”
Abhi – “main bhi chalunga”
Shruti – “nahi ji aap toh rehene do… itni badiya Punjabi hai aapki ki abhi padosi ne Police bulani hai.”
Abhi – “toh? Keh denge ki Punjab mein nahi rahe”
Shruti – “acha ji… chaliye…”

Shruti and Abhi went next door… A lady opened the door…

Shruti – “ji main –“
Abhi – “ji ye meri woti hain Parminder Kaur. Aur main Shamsher Singh. Hum dono ee saamne wale ghar nu rehen waste aaye si.”
Lady – “haan, maine suna tha, kuch aawaz ho rahi thi. Main Priya hoon. Aayiye na.”

As Abhi and Shruti went inside… Vishal came into the room…

Vishal – “kaun hai Priya?”
Priya – “ye Vishal hain. Mere pati aur Vishal ye humare naye padosi – Shamsher ji aur unki patni Parminder ji…”
Vishal – “Richa aur Lata ne ghar bech diya? Par wohh dono gayi kahan?”
Shruti – “ye toh hume nahi pata… kal humare estate agent ne bola ek ghar hai, bilkul tyaar. Par bechne waloin ko jaldi hai. Hume bhi jaldi thi, kyunki naye shehar mein rehne ke liye ghar toh hona hi chahiye… toh bas humne aaj hi shift kar liya.”
Priya – “arre aap aayiye na.. baithiye please. Kya lenge?”
Abhi – “nahi.. aap pareshan na ho. Hum theek hain. Aap bhi aayiye…”

Shruti looks at her over concernt husband… but worried about only girls! And then Abhi sees her looking and laughs… and then all 4 of them sit…

Meanwhile…
Daya and Lavanya were going to the lab when Daya gets a call… he gets a little worried listening to the call…

Lavanya – “kya hua sir?”

Daya doesn’t listen to her… he is thinking all that he heard…

Daya – “Lavanya, tum car lekar forensic lab jao. Main thodi der mein aata hoon.”
Lavanya – “sir sab theek hai?”
Daya – “haan wohh informer ka khoon ho gaya na… ussi ke liye jana hai.”

Daya gets out and Lavanya takes the car back… Daya stops the next auto he finds…

Further… back at Vishal’s and Priya’s…

Priya – “aap log yahan kuch saal toh honge hi?”

Abhi and Shruti look at each other…

Shruti – “umeed toh hai…”
Vishal – “aap karte kya hai Singh sahab?”
Abhi – “ji… jii… ji humara export te import ka business hai. Thode fal – fruits hi export karte hain. Zyada kuch khaas nahi.”
Priya – “aap bhi kaam karti hain Parminder ji?”
Shruti – “nahi ji… humne bahar kaam karna shuru kar diya, te ghar kaise chalega? Acha yaad dilaya… ghar mein koi kharabi toh nahi na? Koi kaam – shaam karvana ho?”

Now Priya and Vishal look at each other…

Vishal – “dekhiye hum aapse jhooth nahi bolna chahte…”

Abhi and Shruti get serious…

Priya – “aapse pehle yahan 3 ladkiyaan rehti thi… unmein se ek theek nahi thi… uska milna julna galat logoin se tha… baaki 2 ladiyoin mein se ek toh mari gayi or doosri kahin bhaag gayi…”
Vishal – “ghar mein vaise toh koi kharabi nahi hai par agar un teeno ne kuch kiya ho toh keh nahi sakte…”
Abhi – “e uh kharab ladki… kya thi ye?”
Priya – “Lata naam tha uska. Shuru shuru mein toh teeno hi bade pyaar se rehti. Phir humne dekha ki Lata ko milne koi koi aane laga… aksar jab wohh ghar mein akeli hoti thi… toh koi gunda type ka aadmi aata aur usse kuch packet mein de jata. Ek din humne pooch kya liya.. bhadak gayi.”

Shruti and Abhi’s eyes widened… they looked at each other and then to the couple..

After a lot of gossip about all the people of the building, Shruti and Abhi finally managed an excuse to leave…
Once in their new home… Abhi went to the bedroom the first thing and slept… Shruti took off the get up and dressed normally. When she went to the room… she sees Abhi sleeping…

Shruti – “Kya hua? So gaye kya?”

Abhi nodds…

Shruti – “kaam nahi karna?”
Abhi – “aaj mood nahi…”

Shruti goes and touches his forehead. Abhi opens his eyes and sees her…

Abhi – “kya?”
Shruti – “pakka tumhari tabiyat kharab hai.. kaam karne ka mood nahi.”
Abhi – “Shruti.. kyun hamesha kaam karne ka mood kyun ho?”
Shruti – “Senior Inspector Abhijeet…”
Abhi – “nahi…”

Shruti looks at him… and he pulls her down to sit with him…

Abhi – “aaj nahi… aaj chutti… aaj hum sirf aapki duty pe hain…”
Shruti – “haaye aaj aapko itna pyaar kaise aa gaya?”

Shruti had her chin resting on her palm and Abhi was leaning against the wall… and then they began talking…

Abhi – “itni baat humne kabhi nahi ki…”
Shruti – “kya karein? ACP sir dono ko ek saath chutti hi nahi dete..”
Abhi – “isse acha toh hum bina shaadi ke the… yaad hai kitni baat ki thi humne?”
Shruti – “wohh meri duty thi…”
Abhi – “meri toh life long imprisonment ho gayi…”
Shruti – “acha… abhi pyaar aa raha tha aur abhi –“

Bt before she could complete her sentence.. the door bell rang…

Abhi – “aaj kismat meherbaan hai…”

Shruti smiled and went to answer the door.. when she opened the door… and oops…
It was the neighbour Priya… and Shruti just remembered that she was without get up… Priya was shocked to see her…

Priya – “arre.. aap kaun ho?”
Shruti – “main.. main…”

But till then Abhi had come out to see…

Abhi – “kaun hai jaan?”

Bas… this thing did everything… Priya’s eyes widened with shock.. Shruti wasn’t in the punjabi get up.. she was looking very western in the jeans – shirt she wore… Priya didn’t recognise her at all.. now Abhi was in his Punjabi get up still so Priya thought Abhi has some kind of affair and she looked at Abhi with disgusted look on her face and left…

Abhi – “inhe kya hua?”
Shruti – “main in kapdo mein aur tum un…”
Abhi – “bas ab toh pooche mohalle ko pate chalega ki naye logoin ka chakkar hai..”

And just then Abhi’s phone beeps… he checks the message… and suddenly his expression changes…

Shruti – “Kya hua?”

Abhi didn’t seem to listen to her…

Abhi – “Richa kahan hai?”
Shruti – “andar.. par hua kya?”

Abhi didn’t wait to tell her but rushed into the room… Richa was sleeping.. Shruti followed him…

Abhi – “Richa”

Richa didn’t wake..

Abhi – “Shruti uthao isse abhi…”
Shruti – “Abhi kya hua?”
Abhi – “Daya ka message tha… wohh log isse dhoondh rahe hain.. Daya Richa ko lene aa raha hai…”
Shruti – “par Daya lekar kahan jaayega isse?”
Abhi – “Shruti samjho… Daya sambhal lega…”
Shruti – “hum yahan 2 hain.. wohh akela..”
Abhi – “Shruti hume yahan se jaana hai…”
Shruti – “kahan?”
Abhi – “hotel”

Five minutes later… Daya was leaving with Richa on his bike… Richa had wore a scarf and her face wasn’t much visible the way Daya asked her to sit…
Abhi and Shruti had their things packed… Shruti was back to her punjabi get up and she went out for a second to check if the police they demanded had come or not and again Priya came out of her house…

No comments:

Powered by Blogger.