Part 13

This all went from bad to worse. Shruti told Abhi and Daya that Viren had met Kanya in Bhopal and brought her along when he came to Pune 7 years back. They got married there and lived happily but then things went wrong between Viren and his dad. Viren didn’t want to join their family business and did some job which Viren’s dad didn’t approve off. As a result, Viren and Kanya moved out and went to live separately. Shruti was then left alone to take care of Viren’s dad. Viren loved Shruti as a sister and so he did many times call her to live with them but she never did so. Then when 3 years back, Viren’s dad died, Shruti moved into this flat and that was when she had written that letter to Viren as Viren had become worried about her.

Daya – “boss ye Viren ka kuch aur hi chakkar hai.”
Shruti – “Mujhe pata nahi ki isse aapko kuch madad mile par 4 mahine pehle, Viren ek din achanak yahan aa gaya. Bola ki Kanya bhabhi aur Viren ki ladki kahin gaye hue hain isiliye who ek hafta yahan rehne aa gaya. Baki sab kuch theek tha par Viren lagatar tab phone par baat karta rehta tha aur kafi gusse wala ho gaya tha. Maine poocha toh bola ki kaam ki tension hai.”
Daya – “Viren kaam kahan karta tha?”
Shruti – “Viren ek resort mein kaam karta tha manager tha wahan.”

Abhi didn’t bother to listen to anything. He was in his own thoughts.

Daya – “Kya hua Abhijeet?”
Abhi – “sabse bada sawaal hai ki jo Shruti kaki ke saath ghar mein hai, wohh kaun hai? Aur wohh Viren ke bare mein itna kaise jaanti hai? Uske paas toh Viren aur uski tasveerein bhi hain.”
Daya – “Abhijeet yaad hai jab hum yahan ke liye nikal rahe the toh Shruti ekdum se bade ajeeb tareeqe se bol rahi thi. Zaroor wohh kuch jaanti hai jo hum nahi jaante.”
Shruti – “agar aap log mind na karein to main milun unsein? Main Kanya bhabhi ko pehchanti hoon toh main bata dungi wohh kaun hain.”
Abhi – “nahi. Wohh koi bhi ho sakti hain. Ismein khatra hai.”
Daya – “toh phir kya karna hai boss?”
Abhi – “mujhe ghar jaana hoga. Kisi bhi tarah toh pata karna hi hai ki wohh Shruti kaun hai.”



Meanwhile ACP Prithviraj, Kaveri, Sheetal and Vaibhav (everyone without disguises) went to meet an informer Gangu whom Vaibhav and Sheetal tried tackling yesterday in disguise but he didn’t tell much. They found Gangu sitting in a pan shop and went to him

ACP Prithviraj – “Gangu?”
Gangu – “kyu saab koi peroblem hai kya?”
Vaibhav – “Gangu dekho hum log –“
Gangu – “haila! Dekh toh Rangeele (the pan wala) yeh toh woi kal wale vilayati tattu hain na jo yahan gehnoin ke bare mein pooch rahe the. (laughs) Safedi jhad gayi kya?”

CID look at each other and Gangu seemed to be a highly learnt person and could even see through disguises.

ACP Prithviraj – “Dekho Gangu, hume tumse kuch poochna hai.”
Gangu – “sabko Gangu se kuch na kuch poochna hi hota hai par Gangu kyu bole”
Kaveri – “Gangu dekho sidhi tarah se bata do warna –“
Gangu – “madam ye kalaiyaan na ghar ke kaam karne mein lagao. Mere upar inka koi asar nahi hai.”

Vaibhav is angry. He grabs Gangu from his wrist and twists it. Many men from neighbouring shops come out to help Gangu.

Vaibhav – “Bahut sun liya humne. CID kisi ki itni sunti nahi hai. Ab seedhi tarah se zubaan khol”
Gangu – “saab chodo toh. Aap CID wale ho…pehle batane ka tha na”

Gangu seemed to be much more co ordinating now. So Vaibhav let him go and Gangu stopped the men from coming. He then called the CID people inside a restaurant (very small) and made them all sit.

Gangu – “haan saab boliye kya baat hai.”
Sheetal – “is mohalle mein tumhara kafi rob hai.”
Gangu – “ab apna ich toh mohalla hai…thoda bahut chalta hai. Chalta toh apna bahut jagah hai…kahin bhi pooch lo apne bare mein.”
ACP Prithviraj – “wohh sab chodo Gangu aur hum tumse kuch zaroori poochne aaye hain.”
Gangu – “kis ke bare mein sahab? Exhibition wali chori ke bare mein ya Viren ke khoon ke bare mein.”

Everyone is surprised to see that Gangu knows so much.

Vaibhav – “tumhe kaise pata ki hum kis case par kaam kar rahe hain?”
Gangu – “ab saab informant hai apun…toh khabar toh rakhega na.”
Vaibhav – “sirf Police aur CID ke informant ho ya sabko information dete ho?”
Gangu – “saab dekho…aage kuch bhi baat karne se pehle aap log ye sun lo…apni sirf 2 shartein hain kisi ke saath kaam karne ki aur agar aapko manjoor nahi hai toh pehle hi bol dene ka…aisa nai ki baad mein nahi maan kar apna heart break karna…”
ACP Prithviraj – “kaisi shartein?”
Gangu – “pehli ki apne par trust karne ka…karo toh theek hai nai karo toh bhi apne ko kya farak padta hai aur doosra ki jab main aap logoin ko information deta hoon toh jo khabat aapko pata chale, aap bhi mujhe batana.”
ACP Prithviraj – “theek hai…manjoor. Ab batao jo kal saab ne poocha tha.”
Gangu – “saab agar kal hi bol dete ki CID se hain toh main kal hi na bol deta…zabardasti bade saab ko lekar aaye aap.”
ACP Prithviraj – “koi baat nahi…batao exibition se chori ke bare mein kya jante ho”
Gangu – “zyada toh nahi par ye jaanta hoon ki in sab ke peeche ek nahi 2 log hain – miya – biwi. Dono kisi jhol ke karan hi mile aur raatoin raat ameer hone ke liye ye sab kiya aur jis tarah se kiya usse sab jaante hain ki dono dimaag wale hain.”
Sheetal – “tumhe kaise pata 2 log hain? Humare paas toh sirf ek ke bare mein hi aaya hai.”
Gangu – “yahich toh farak hai aap mein aur mujh mein. Maine Rajeev saab ko bhi bataya tha par baad mein unhe pata nahi kya ho gaya tha. Wohh King’s resort ke manager pe hi vishwas karte the. Wohh bhi gayab hai.”
Kaveri – “aur kya jaante ho?”
Gangu – “wohh jo aap nahi soch sakte. Jisne planning ki wohh CID ke andar hai…chupa hua…jiske liye bade saab ko bade office se bheja hai. Usne apna aadmi nahi rakha aapke office mein par wohh khud hai”

Everyone is shocked at this. Gangu tells them how a thousand thieves just from Pune and Nasik were involved into this and where the gold was sent – to Calcutta by ship. When he had ended with everything,

Kaveri – “jab tum itne kabil ho tab bhi aise bhai giri kyu karte ho?”
Gangu – “madam dekho…bhai giri kya karta hai apun? Khane – peene ka hafta wasool karta hai par badle mein sabki bole toh protection bhi toh karta hai. Kisi ki himmat apne ilaake ke ek bhi aadmi ko chot pahunchaye. Aur baaki rahi is kaam ki baat – toh apni maa bachpan mein bolne ki desh ki sewa aur logoin ke sewa sabse badi hai. Logoin ki sewa toh apun bahut karta hai aur desh ki sewa aap logoin ke madad karne se ho jaati hai”
Sheetal – “tum Police force kyun nahi join karte?”
Gangu – “mujhe kaun Police mein bharti karega? Bole toh apne paas koi skool ka certificate nahi hai na.”
ACP Prithviraj – “Gangu…thank You. Tum wakayi mein bahut kabil insaan ho. Kabhi bhi koi madad chahiye hogi toh zaroor kehna.”

After this they left for Office where Pratap and Lavanya were already there. They had already done with their work at the post office and discovered that the letter was 3 years old.

No comments:

Powered by Blogger.