Part 20

Kaki – “lo aa gaya…itni der tak dono tera intezaar karke bhooki thi, abhi khane baithi hain, acha hua tu aa gaya, aaja kha le”

Abhi was really hungry but he didn’t want to sit and eat…he decided to postpone the meeting with Shruti (Viren’s wife) for sometime, so he could atleast thing what to talk to her about…

Abhi – “nahi kaki, maine Daya ke saath kha liya….aap log mera intezaar kyun karte ho….kha liya karo”
Kaki – “beta kuch toh le le”
Abhi – “Kaki bas abhi khaya, aap log khao na, main zara fresh ho loon”

And he left upstairs…

Kaki – “dekh lo…poori duniya ke haal se rubaro hai par apni kuch khairiyat hi nahi hai is ladke ko…Shipra beti tum bhi kya aise hi kaam mein lagi rehti ho?”
Shipra – “haan kaki…abhi toh main chutti pe hoon isiliye aaram se hoon…warna kaam ke saath saath apni dekh bhal nahi hoti, waise bhi ghar aao, din bhar kaam karne ke baad, toh khana banta hi nahi”
Kaki – “Abhi toh Shruti hai, isiliye is ghar mein bhi thoda kaam chal raha hai, warna main toh khana hotcase mein rakh deti thi, kab tak intezaar karun? Tum log ho toh ghar mein kitni raunak hai, Shruti jab chali jaayegi toh ghar bilkul soona ho jaayega…Shruti hai, Pinky betiya hai, tum ho…main toh koi kaam kar hi nahi rahi hoon…”
Shipra – “aapko kaam karne ki kya zaroorat hai Kaki? Hum hain na…aur waise bhi Shruti ji ne kahan jaana hai, aur mera kya hai, aap jab bolo chutti lekar aa jaungi, bhai mujhe bhi chutti aur ghar ki khane ki zaroorat padti hai…”

Shruti had finished eating…but she wasn’t at all interested in the conversation.

Kaki – “Main zara Abhijeet ko doodh de aati hoon, kuch toh le lega.”
Shruti – “kaki aap apna khana kha lijiye, main Abhijeet ji ke liye doodh bana deti hoon.”
Shipra – “Shruti aap baitho…subah se aap kitchen mein ho…aap chalo, Pinky ko sulao, aur main Abhijeet ko doodh de deti hoon, aur phir hum baatein karenge…bhai ek hi ghar mein 3 auratein hain aur baatein na ho! Aisa kaise ho sakta hai?”

So Shruti who really wanted to talk to Abhijeet lost her chance as she had to go and make Pinky (her daughter) sleep…

Shipra walked in the balcony in Abhijeet’s room…Abhi was standing there, staring at the dark sky and probably thinking something, but well he was feeling hungry and then he smelled hot food, and he turned to see Shipra standing there and a plate full of hot food on his bed.

Shipra – “kya hua? Aap yahan kyun khade hain? Chaliye andar, khana kha lijiye…”

Abhi didn’t bother about food…he wanted to ask Shruti (Viren’s sister) some questions…important ones!

Abhi – “Shruti aapne apna naam yahan Shipra kyun bataya aur –“

Shipra completed the sentence for him…

Shipra – “aur yeh kyun kaha ki main CID officer hoon…yahi na?”
Abhi – “haan”

Shruti (Viren’s sis) walked upto the railing where Abhijeet was and too stared at the sky…

Shipra – “aap kya chahte the ki main kehti ki main Viren ki behen hoon?”

Abhi didn’t know what to say….he knew that she was correct…so he remained quiet

Shipra – “Pune mein aap ek aur CID officer se mile, yeh thoda logical aur obvious lagta hai…aur ye kehna ki main Viren ke case par kaam kar rahi hoon, toh main Shruti se Viren ke bare mein, un ke bare mein kuch bhi pooch sakti hoon…”
Abhi – “kya bharosa wohh sach bole?”
Shipra – “koi baat nahi, journalists ka kaam aur hota kya hai? Sach aur jhooth mein farak karna…”

Abhi had forgotten all his worries and everything…he felt he was talking to a really good friend, and his mood cheered up! But then he had something in his heart and he spoke it out

Abhi – “aap yeh sab kyun kar rahi hain?”
Shipra – “aapko kyun lagta hai? 3 din pehle tak main aapko jaanti bhi nahi thi, aur aaj yahan aapke ghar mein, aapke kamre mein aapse baat kar rahi hoon… well baat kar rahi hoon kyunki mujhe baat karna pasand hai aur jahan tak rahi baaki sab ki baat, Viren aapka sirf dost tha, wohh bhi ab aisa lagta hai ki sirf aap uske dost the, usne toh aapko dokha diya, par main toh usse bachpan se bhai maanti thi na, mera bhi toh uske liye koi farz banta hai…”

Abhi and Shipra stared at each other, blank but with utter satisfaction for long and then like Shipra was pinched or something…

Shipra – “very good, mujhe baatoin mein laga diya aur main bhool gayi, chaliye khana…”
Abhi – “par maine bola toh ki main kha kar aaya hoon…phir aapne takleef kyu ki?”
Shipra – “ab toh maine takleef kar lee hai na… toh chaliye…”
Abhi – “arre par main abhi Daya ke saath kha kar aaya”
Shipra – “yahi toh problem hai, jab aapko pata tha ghar mein itne log hain toh bahar khane ki jagah Daya ko bhi yahin le aate. Ab unhein ghar jaakar akele thanda khana khana padega.”
Abhi – “Daya ke ghar mein khana banane ke liye aayee hain, jo uska khana bana kar hotcase mein rakh deti hain, wohh usse kha lega…”
Shipra – “kha lega?? Yani ke unhone khana nahi khaya… aapko sharam nahi aayi restaurant mein akele akele khate hue?”

Shruti was silent staring at Abhi half with surprise and half laughing. Abhi’s lie was caught…he had to believe that Shruti (Viren’s sis) did possess qualities of a good CID officer though she wasn’t one… He liked talking to her especially the way they were so friendly…

Shipra – “ya kahein ki aap mein se kisi ne khana nahi khaya…toh chaliye kha lijiye”
Abhi – “aapse behas mein koi nahi jeet sakta…”
Shipra – “thank you…main isse compliment ki tarah lungi…ab aap khana khane chalte hain ya kaki ko batun ki aapne jhooth bola tha?”

Abhi opened his mouth to speak something but he couldn’t figure out what…but till then, Shipra had caught his hand and was pulling him into the room…

No comments:

Powered by Blogger.